Tuesday, May 4, 2010

Kyon.. ye jahaan nahi milta

Kyon .. Kyon ..

bhatakti rehti hai lahre jaane kiske liye...
kyon unhe ek muyassar kinara nahi milta...

ladkhada jate hain kadam in raho me...
kyon kisi ko munasib sahara nahi milta...

Tanha kat jata hai safar aadam ka duniya me...
kyon sabhi ko haseen yaarana nahi milta...

Gamgeen hi rehta hai aasman apna...
kyon kahin sukoon bhara nazaara nahi milta...

Woh kehte hai ki duniya me pyaar baant te chalo...
kyon girdhar ko apna koi pyaara nahi milta...

Talaash hai ek sahil ki is jeevan me...
kyon unki aankhon se ek ishara nahi milta...