aasman me udte parindo ke aashiyan aur bhi hain,
aur dharti par rengta ek main hoon main hoon..
duniya bhag rahi hai jane kiske liye,
aur kahin piche ruka ek main hoon main hoon..
jab jagti hai duniya kuch karne ke liye,
kisi ki yaado me khoya ek main hoon main hoon..
jindagi me umang aur bhi hai yun to,
jeene ke liye asha dhoondhta ek main hoon main hoon..
is jagmagate shehar meraste aur bhi hain,
chorahe pe khada sabko dekhta ek main hoon main hoon..
har kisi ki chahat ki bhavishya achha ho,
apne vartman ko jhonkta ek main hoon main hoon..
pyar me log har bar kuch khote hain,
kuch jyada paane ki umeed me ek main hoon main hoon..
yun to sab khushian hi dhoondhte hain
un khushion me ek dard khojta main hun main hun..
pune ki sadko pe udata hai dhuan har jagah,
is dhuen me pyaar dhoondhta ek main hoon main hoon..
masti me gujar di jindagi ab tak,
pal pal badalta ek main hoon main hoon..
nafrat ho gayi is bhedbhad wali jindagi se,
apne ghar ko yaad karta ek main hoon main hoon..
yun to sada hi muskurane ki aadat hai,
is muskurahat me kai dard chupaye ek main hoon main hoon..
kho gaya hun yahan ki chakachondh roshni me,
apni khoyi virasat dhoondhta ek main hoon main hoon..
pyaar me dhokhe khati rahi hai yun to duniya
pathar-dil se aas lagaye ek main hoon main hoon..
yun to thak gaya hun din me kam karke,
raat me bhi chain dhoondhta ek main hoon main hoon..
dard suna diya to kahin woh ro na pade,
uske aansuon ko rokta ek main hoon main hoon..
dil ki baat kahne ke liye dost chahiye,
dosto ki bheed me bhi akela ek main hoon main hoon..
ek tanha main hun hun
Hello World - Reboot!
10 years ago
No comments:
Post a Comment